मंगलवार, 20 दिसंबर 2016

KAASH MAI HAWAA HOTAA

Kash mai hawa hota,
Chhu kar unki ankho ko palat aata mai,
Apne dard-e-dil ka khud hi dawa hota,
Kash mai hawa hota………
...
Jab bhi jaata unke pass unse milne,
Mere sang mushq(khushbu) ka karwa hota,
Kash mai hawa hota…

Mar jaata gar thukara dete,
Na zindagi hoti na rawa hota,
Kash mai hawa hota……

Jab bhi wo mujhse puchhte meri tareef,
Hotho par bus unka hi naam aaswa hota,
Kash mai hawa hota……
Kash mai hawa hota……

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें