गुरुवार, 7 मई 2015

JAB YAAD TUMHARI AAYEGI

AANKHE TAR KAR JAUGA,
 Har raat basar kar jauga,
 Jab yaad tumhari aayegi..
 Dhadkan ye tham jayegi,
 Mai jeete ji mar jauga,
 Jab yaad tumhari aayegi..


 Har pal har lamha Haath tham kar,
 Sath chala hum karte the,
 Us lamhe ka afsana
 mai har lamha dohrauga,
 Jab yaad tumhari aayegi..


 Jeene ko bus naam tumhara,
 kafi tha mere humdum,
 naam tumhara le lekar,
 har saans zuda kar lauga,
 Jab yaad tumhari aayegi..


 Sooni galiyo me tera hi,
 Ek aqsh nazar sa aata hai,
 Wo aqsh basakar aankho me,
 Nazre dhoomil kar jauga,
 Jab yaad tumhari aayegi..


 Ye noorani tera chehra,
 Ye roohani teri baate,
 Seene me basakar yaado ko,
 Mai khaad zadaa ho jauga,
 Jab yaad tumhari aayegi..


 Raato ko jab bhi sota hu,
 Khwab tumhare ate hai,
 Khwabo ko tabeer banakar,
 Sazde me jhuk jauga,
 Jab yaad tumhari aayegi..


 Humsaya banker jeeta tha,
 Sath tere har lamhe ko,
 Us lamhe se sath churakar,
 Ashq ban mar jauga,
 Jab yaad tumhari aayegi…

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें